Wednesday, May 5, 2010

Anmol Vachan

  • kaun kahta hai sapne sach nahi hote,
    Ek baar sapna dekh kar to dekho...
    Dusaron ke liye hi sahi nahi,
    Kam se kam apne liye to dekho...
    (waise sapne dekhna buri baat nahi hai)
  • Ek insaan apni zindagi me tabhi hi safal ho sakta hai jub wah aatmvishwash ko kam aur tanaw ko jyada hone ka mauka hi na de...
  • Is duniya me her cheej insaan ke liye bani hai bus uska istemaal karna uske haath me hai...
  • Is duniya me kuch log aise hai jo khud ke dukh se dukhi na hokar dusharon ke sukhon se dukhi hai isliye hamesa apne dukh me bhi sukhi anubhav karne ki koshish karo...
  • Zindagi me kabhi kisi se pyaar mat karo kyonki pyaar me bahut dard hai...ye wo zakhm hai jo kabhi bharta nahi hamesa rulata rahta hai... agar kisi ne kisi se sachcha pyaar kiya hai to wah ek din zarur royega it's real fact...kahte hai pyaar ek dushare ki zarurat hai lekin pyaar, pyaar ko pyar ki nazer se nahi dekhta...
  • Zindagi me ek matra jeet aapki alag pahchan bana sakti hai...
  • Kaun kahta hai aasmaan me ched nahi hota ek paththar tabiyat se uchaal kar to dekho...
  • Badhiya kaam karne ka ehsaas khud me ek puruskaar hai...
  • Zindagi me kabhi aise vyaktiyon ki sangati mat karo jinki sangati v saath se apne ghar, pariwaar v gaaon walo ko sharm se nicha dekhana pade aur log apne charitra par ungli uthayen...
  • swath sharir aatma ka ghar hai, aur a-swath sharir uska karagaar...
  • Jo nagrik adhikaron ko usoolon se jyada ehmiyat dete hain, wah dono ko hi kho baithte hain...
  • Janha kanoon ka na hona hi kanoon hai, waha imaandaar nagrik, chor uchchkke aur dakait ban jaate hain...
  • Agar hum samadhan ka hissa nahi hain, to hum hi samssya hain...
  • Paron se nahi hausalon se udaan hoti hai, kamyabi unhe milti hai jinke iraadon me jaan hoti hai...





No comments: