Nazer jhuki to paimane bane,
kuch to hai aap me jo hum aapke bane...
hai guzarish sanam ek kaam karo,
ho sake to ye dil mere naam karo...
ye kaise mumkin hai ki aapse kisi ne pyaar na kiya ho,
mai kaise maan loon ki aapko kisi ne dil na diya ho...
Rishta na todo dil se aane jaane ka,
thikana hai na waqt hai kahi aapko manane ka...
kaise kahe ki humne aapko pukara nahi,
is pyaare se chehre ko nazaron me utaara nahi...
parwana bhale hi hamse door rahe,
par hamara dosto ke bina guzara nahi...
Hum lafzo se kuch bhi izhaar nahi karte,
iska matlab ye nahi ki hum aapse pyaar nahi karte...
chahte hain hum aapko aaj bhi,
magar aapki soch me apna samay bekaar nahi karte...
tamasa na ban jaaye kahi mohbbat hamari,
isliye khuda se takrar nahi karte...
par kuch to aapki fitrat me hai malik,
warna aapko chahne ki khata hum baar-baar nahi karte...
Matlab nikal gaya to pahchante nahi,
yon jaa rahe ho jaise jaante nahi...
dosti me dost, dost ka khuda hota hai,
mahsoos jab hota hai jub dost, dost se juda hota hai...
tufaan chale jaate hain tabahi rah jaati hai,
dost chale jaate hain jub yaad rah jaati hai...
Hairaan hain ki tanhaaiyon me bhi unki baatein hazaar se karte hain,
kya khabar unko ki hum akele me bhi unki shikayat sitaron se karte hain...
duniya jise neend kahti hai,
bhagwaan jaane wo kya cheej hoti hain...
aankhein to hum bhi band karte hain,
lekin wo to mehboob se milne ki tarkeeb hoti hai...
Waqt ae rukhshat hai le salaam aakhiri,
teri aankhon se pee raha hoon jaam aakhiri...
kya pata kal milan ho na ho,
samajh le yahi hai mera mukam aakhiri...
ek baar seene se laga le jaane jaa,
sanson se uth raha hai tufaan aakhiri...
zindagi rahi to naya kuch zarur likhunga,
warna yah hi hai bajrang ka kalaam aakhiri...
Jub khushi mili to muskura na sake,
gum mila to aansu baha na sake...
koshish to bahut ki haal-e-dil batane ki,
bus do lafz hi zubaan par hum laa na sake...
socha chup rahkar bhi hum bahut kuch kar denge,
par khamoshiyon ki zubaan bhi hum suna na sake...
nazer milaayi to wo rooth gaye,
phir nazer jhukakar hum mana na sake...
ruswa wo huye ya hum, pata nahi,
hum unke aur wo humare saamne kabhi aa na sake...
aur kya kahe unhe chaha par hum paa na sake,
aur chahkar bhi unhe bhula na sake...
Kar na paaye jub se gaye sanam,
bedard mila dilbar kab tak royenge hum...
dil nadaan rota kyon hai unko yaad kar,
wo to chale gaye nadaan tujhe bedard kar...
zal ke dil khakh huaa aankhon se roya na gaya,
zakhm kuch aise zale ki phoolon par soya na gaya...
Kis ko sunayen jaakar mere gum ka tarana,
paththar ke dilwalon ne me dard nahi jaana...
gungunaya hi kyon jub gaana hi nahi tha,
bulaya hi kyon jub aana hi nahi tha...
pyaar hi kyon kiya jub nibhana hi nahi tha,
fashaya hi kyon jub apnana hi nahi tha...
Is tarah pyaar ka izhaar nahi hota,
jo do kadam sath chale wo yaar nahi hota...
pyaar karne wale kanto pe chalte hain,
jo aa jaaye sole to solon me jalte hain...
kyon tujhe mere pyaar par aitbaar nahi hota,
agar dilon me sachcha pyaar nahi hota to ye duniya nahi hoti aur ye sansaar nahi hota...
FROM MOVIE EK-RISHTA

No comments:
Post a Comment